Sunday, May 26, 2013

Mumkin hai chashm-e-nam ko sitara na ker sako


Mumkin hai chashm-e-nam ko sitara na ker sako..
Mumkin hai tum bhi koi ishara na ker sako…

Mumkin hhai meray bghair bhi bita lo ye zindagi..
Mumkin hai apnay sath bhi guzara na ker sako…

Mumkin hai zeher day k at’ta ker do Zindage..
Mumkin hai ye karam bhi dobara na ker sako…

Mumkin hai mera hukum bhi tum ko qabool ho..
Mumkin hai iltaja bhi gawara na ker sako…

Mumkin hai doo qadam pay badal jao rasta..
Mumkin hai umer bhar bhi kinara na ker sako

No comments:

Post a Comment