Sunday, May 5, 2013

Badan Se Othti Thi Us K Kushbo


Badan Se Othti Thi Us K Kushbo, Saba K Lehjay Mein Bolta Tha..
Yeh Meri Aankhein Thin Us Ka Bistar, Woh Meray Khuwabon Mein Jagta Tha..

Koi Tha Chashm-E-Karam Ka Talib, Kisi Pe Shaoq-E-Visaal Ghalib..
Sawal Phelay Thay Chaar Janib, Bas Aik Main Tha Jo Chup Khara Tha..

Ajeeb Sohbat, Ajeeb Ruut Thi, Khamosh Bethay Hoye Thay Dono...
Main Us Ki Awaz Sun Raha Tha, Woh Meri Awaz Sun Raha Tha...

Hayya Se Aankhein Jhuki Hoi Thin, Hawa Ki Sansein Ruki Hoi Thin..
Woh Meray Seenay Mein Sar Chuupaye, Na-Janea Kaya Baat Sochta Tha..


Bahaar Aai To Titlion K Paron Mein Rango'n Ne Rang Bandha..
Aur Aik Bhanwra Kali Kali K Labon Ko Reh Reh K Choomta Tha..

Woh Aur Hon Ge Keh Jin Ko AMJID Naye Manazir Ki Chah Ho Gi..
Main Un K Chehray Ko Dekhta Hon, Main Un K Chehray Ko Dekhta Tha..

No comments:

Post a Comment